Tuesday, 19 July 2016

AdSense Ads Kaise Create Kare – [Beginners Guide]

create ad unit adsene
Great! to aapka Adsense approve ho gaya hai aur ab aap ready hain apni site par ads lagane ke liye. Par aapko nahi pata ki kaise Ad create kare, kaun sa ad size best hai aur kaise ad ka code generate kare? etc etc
Don’t worry main yaha aapka step-by-step guide karne ja raha hu kaise aap Ad unit banakar apni sire me add kar sakte hain. So let’s see:
Is se pahle hum Ad unit create kare, sabse pahle yah jaan lete hain ki “Aapko kitni Ads apne site me add karni chahiye.


Kitni Ads aap Site Me Laga Sakte Hain?

Aap apne according bahut si Ads apni site me nahi laga sakte. Google ne iske liye bhi limitation banayi hai.
Aap apni Site me Per page below numbers me ads laga sakte hain:-
  • 3 text/image Ads: Is tarah ki Ad image or text me hoti hai. Aur alag-alag size me aap bana sakte hain.
  • 3 Link Ads: Is tarah ki Ad link text me hoti hai.
  • 2 Search engine: Search engine ko aap apni site me search box ki tarah use kar sakte hain, isme  search results me ads show karti hai.
Agar aapne apni site me is se jyada ads lagayi to sabse pahle to wo ad show hi nahi karegi, aur sath hi yah Adsense policy ke against hai.

1. Text/Display Ads create kare

Sabse pahle apne Adsense Account par login kare, ab home page par My Ads par click kare. Yaha aapko + New Ad unit par click karna hai. (see below image)


adsensse create ad
Ab next aapko apni Ad unit create karna hai jo bahut easy hai, see below image:
create ad unit
1: Name me apni ads ko koi bhi name de, name aap kuch bhi de sakte hain.
2: Ad size: Yaha aapke liye kayi size me ads available hain.
ad size adsense
Aap yaha Showing option me Horizontal banner, rectangle banner, rectangular, vertical, Responsive size dekh sakte hain. Yahi nahi aap apni size ka bhi banner bana sakte hain custom size select kar.
Magar yaha aapko Recommended select karna hai aur usme available banners me se select karna hai. Recommend me sabse popular banners available hain.
Recommended par click kare aur koi bhi size ka banner select kare. Nahi pata kaun sa perfect hai, ok main batata hoon:-
  • Automatic Size responsive: Mobile and Desktop dono me ad show karne ke liye perfect hai. yah size ke banner automatic apni size ko device ke according change kar lete hain aur jis jagah bhi aap add karenge wo size me automatic convert ho jate hain.
  • 728×90 Leaderboard: Yah size ka banner site ke header me aap laga sakte hain, Site Logo ke right side me.
  • 336×280 Large Rectangle: Post title ke neeche and paragraph ke beech me yah size ka banner best hai.
  • 300×600 LArge skyscraper: Side bar me yah banner best hai.
  • 300×250 Medium Rectangle: Side bar me aap medium size ka yah banner laga sakte hain.
3: Ad type: Ad Size select karne ke baad Ad type me aapko Text & Display ads select karna hai. Yah Recommend option hai.
4: Text ad Style: Is option me aapko kuch nahi karna hai. Default style hi perfect hai. So leave it.
5: Custom Channels: Yah option bhi aap chor sakte hain.
Ab finally aapko Save and get Code par click karna hai.
Ad code me aapko Asynchronous select karna hai aur Code copy karke apni website me add karna hai.
ad code adsense
Bus kuch is tarah se two more Text/Display ad unit banakar apni site me add kare.

2. Link Ads Create Kare

link ad adsense
                           Link ad example
Text/Display ad create karne ke baad ab hum Link Ads create karenge. Is tarah ki link unit ko aap apni site me post ke paragraph ke beech me add kar sakte hain. WordPress me aap Ad inserter plugin se yah kaam easily kar sakte hain.
Sabse pahle My Ads par click kare aur+New Ad unit par click kare.
Ab aapko Below image ki tarah link ads create karna hai. Same settings hain.
create link ad
  • Name me apni link ad ka name type kare.
  • Ad size me showing me aapko Link ads select karna hai aur size me aapko “Automatic size (Responsive links) select karna hai.
  • other sabhi settings ko aap default rakh sakte hain.
  • Ab save and get codee par click kare
Code ko Copy karke apni site me add kare. Same method se two more links unit banakar apni site me add kar sakte hain.

3. Create Search Engine

Search Engine me aap apni site ke liye Google custom search ka use karte hain. Jisme koi user aapki site me search karega to search results me usko ad show karegi.
Search engine aap 2 methods se add kar sakte hain.
  1. Apne adsense account par
  2. Google custom search engine site par – ( jo main aapko bata chuka hu)
Yaha main adsense account par search engine create kaise kare wo bata raha hu.
  • Apne Adsense Account par My Ads par click kare, Search par click kare aur+New Custom Search Engine par click kare. (see below image)
adsense search engine
  • New search engine me aapko name enter karna hai
  • What to search me Online Sites i select ko choose karke apni site ka address enter karna hai.
  • Other settings aap chor sakte hain.
adsense search engine
  • Search Box Style me aapko search box ki style ko select karna hai.  Baad me aap CSS se search box aur bhi stylish bana sakte hain.
    adsense search engine
Ab Save and get code par click kare aur code ko copy kare.
Yah code aap apni website me sidebar me add kar sakte hain. 2 search boxes aap apni site me add kar sakte hain.
That’ all. i hope hamare new adsense users ko ab pata chal gaya hoga ki ad kaise create ki jati hai.

No comments:

Post a Comment