Tuesday, 19 July 2016

Blogger Post Twitter Par Auto-Publish Kaise Kare ~ mkniit

Facebook, twitter and Google+ jaisi social sites par apni post ko publish karna bahut jaruri hota hai kisi bhi website ke liye. Google search ki tarah yaha se bhi hume organic traffic receive hota hai jo hamari site ko popular and ranking me high banata hai.
Facebook par aap apni website ka official page banakar apni post ko share kar sakte hain, yahi nahi post and page promote jaisi features se aap aur jyada likes and views receive kar sakte hain.
Same thing Google+ par hai yaha bhi aap apna page create karke apni post ko share kar sakte hain. Blogger par aapka blog hai to yah kaam automatic kar sakte hain.
blogger auto publish twitter


Aaj main aapko internet ke aisi tool ke bare me batane ja raha hu jiske jariye aap apni Blogger post ko sabhi social sites facebook, twitter, Google+ etc par automatic publish kar sakte hain.
Auto publish se sabse bada benefit yah hota hai ki hume manually jakar social sites par apni post publish nahi karni padti. Sabkuch automatic publish ho jata hai. To chaliye is tool ke bare me jaante hain.
Yaha main is Tool ki help se Twitter par Blogger post Automatic Publish kaise kare uski settings bataunga, aap same waise hi is tool ki help se other social site connect kar sakte hain. So Let’s begin:-

1# IFTTT par Account create kare

Sabse pahle aapko ifttt.com par apna account create karna hai. Yah tool bilkul free hai. Email Address type karke apna Free Account create kare.


Account create karne ke baad apne account par Log-in kare.

2# Create Recipe

  • Account par login karne ke baad aapko My Recipe par click karna hai. Yaha aapko Create a Recipe button par click karna hai.
  • Ab aapko agli screen me this par click karna hai. 
ifttt add recipe
  • Ab next aapko choose trigger channel me Blogger search karke uske icon par click karna hai.
create recipe ifttt
  • Blogger select karne ke baad ab aapko apna Blogger Account ifttt se connect karna hai.
  • Connect par click kare. Ab next apne Blogger account par login karke IFTTT ko Allow karke connect kare.
    connect ifttt blogger
  • Allow par click karne ke baad aapko apna Blog select karna hai jise aap ifttt se connect karna chahte hain, Blog select kare and update par click kare.
select blog blogger
  • Ab aapko “Continue to Next Step” par click karna hai.
  • Now Choose a trigger me aapko Any New Post ko select karna hai.
choose a trigger
  • Ab next aapko Create trigger par click karna hai.
create trigger
  • Ab aapko blue colour me that par click karna hai.
create new trigger
  • Ab next choose action channel me aapko “twitter” search karke uske upar click karna hai. Yaha aap facebook etc bhi select kar sakte hain.
choose action channel
  • Twitter select karne ke baad ab aapko next apne twitter account ko connect karna hai. Connect par click kare. Apne twitter par login karne ke baadAuthorize par click kare.
twitter connect authorize
  • Twitter account connect karne ke baad ab aapko Choose an action me Post a tweet par click karna hai.
post a tweet
  • Next “Compete Action fields” me aap dekh sakte hain aapki post kis tarah twitter par post hogi. Pahle aapka title show karega aur uske baad URL. Yaha aapko Create Action par click karna hai.
complete action ifttt
  • Now final step me aapko just Create Recipe par click karna hai.
create recipe ifttt
That’s it ab aap jab bhi Blogger par new post publish karenge wo automatic aapketwitter account me publish ho jayegi.
Yaha maine aapko Twitter ke bare me bataya theek aise hi aap Facebook ko connect karke apni post ko auto publish kar sakte hain.
To is online tool se aapki ek problem to solve ho hi jayegi post ko social sites par publish karne ki. Meri baat kare to main manually post karta hu apne social profile par. I hope aapko yah post pasand aayi hogi.

No comments:

Post a Comment