Apni last post me maine aapko bataya tha ki kaise aap apni website ke liye facebook par Brand Page bana sakte hain. Aaj hum apne is page ko blogger me add karenge taki jyada se jyada log hamari facebook community ko join kar sake.
Facebook fan page blogger me add karna bahut easy hai aapko just kuch steps follow karna hai. Let’s See:
Facebook fan page blogger me Add kare
Step 1: Facebook fan page setup kare
Sabse pahle hum facebook developer page par jakar fan page ka setup karenge. Yaha aapko page ko design karna hai. Facebook Page plugin address par login kare.
- Facebook Page URL – yaha apna page address enter kare. Aap page address enter karne ke baad neeche setup ka preview dekh sakte hain.
- Tabs – is option ko aap blank chor sakte hain. Agar aapko timeline, message ka option show karna hai to timeline or messages type kare.
- width/Height – yaha aap apne page ki size set kar sakte hain. Apne Blogger blog ke sidebar ke according size set kare.
- Use small header par √ karne Page ka header small show karega.
- Hide cover photo par √ karne se cover photo hide ho jayega.
- Show friends faces par √ karne se aap friends ke faces fan page me show kar sakte hain.
- Adapt to plugin container width par √ karne se aapke blog par width ke according fan page set ho jayega.
Ab Get Code par Click kare.
Step 2: ADD Fan page Code in Blogger Blog
Ab hume fan page ka code blogger blog me insert karna hai.
Get Code par click karne ke baad pop-up window me “iFrame” option par click kare aur diya gaya code copy kare.
Ab Blogger par aaye aur Layout option par click kare. Yaha aapko side bar me Fan page add karna hai.
Layout me Side bar par ADD Gadget par click kare.
ADD Gadget window me HTML/Javascript select karke open kare and Code paste karke Save kar le. That’s it. Now see your Blog.
No comments:
Post a Comment