Tuesday, 19 July 2016

Facebook Par Affiliate Promote Kar Earn Kare

Facebook se paisa kamaye? Ji ha bilkul theek suna aapne. Main yaha aapko batane ja raha hu ki kaise aap apne Facebook page par Affiliate marketing karke paisa (money) earn kar sakte hain.
Agar aap yah sochte hain ki Adsense hi internet par money earn karne ke option hai, to aap wrong hain. internet par sabhi Pro-bloggers aaj Affiliate marketing se jyada kamate hain. Iska sabse bada example hai Shoutmeloud.
Sabse pahle main aapko bata du Affiliate marketing kya hai? – Aapne sales man ka name to suna hoga, sales man door-to-door visit karke company ki products sale karta hai aur jitna wo sale karta hai usko utna commission milta hai, Right?
Bus Affiliate marketing me kuch aisa hi hai, Sales man ki tarah Bloggers internet services and products ko apne Blog/Website ke jariye sale karte hain aur uska unhe commission milta hai.


make money facebook
To ab hum apne topic par aate hain, facebook se affiliate marketing kar kaise kamaye iski step-by-step Guide, Let’s start.

Step 1: Create Professional Facebook Page

Sabse pahle apna brand new facebook Page create kare. Aap kis products ko apne page par sale karenge uske according category and page name select kare.
Facebook page create karne ki guide maine is post me share ki hai – Facebook Brand page kaise banaye?


Page create karne ke baad use professional look de, Page ka logo, Cover, Page ki Description, About. For example: aap Mobile ki products apne page par sale karna chahte hain to page ka name, Logo, cover – sabkuch Mobile se juda hona jaruri hai.
Humne ek professional Look page bana liya hai. Ab hume likes pana hai.

Step 2: Page ki Likes increase kare

FB page create karne ke baad ab hume use promote karke Likes pana hai. Likes pane ka sabse behtar idea hai apne Friends ke sath page share karna.
Page ki likes ko badhane ka second effective idea hai facebook par page ko promote karna. Bus aapko kuch money spend karni padegi. $1 (Rs.65) spend karke aap 100-200 likes receive kar sakte hain.
Page par sufficient likes milne ke baad ab hamara kaam hai Affiliate ads and Offers create karke apne page par Post karna.

Step 3: Affiliate partner Select kare

Affiliate partner aap apne Page ke niche (subject) par select kar sakte hain, nahi samjhe? ok main example deta hu.
Maine Apna Page “Mobile Dealz” name se banaya hai, yaha main Mobiles and accessories ki offers ki ads post karunga.
Apne Mobile Niche (Subject) ke liye main kaun sa affiliate partner select karunga? Bilkul sahi main Flipkart Affiliate, Amazon ko select karunga.
Ab har roj Flipkart and Amazon par latest Phones release hote hain unki ad apne page par post karunga, Daily Mobile ki Deals and offers post karunga.
Ye to Mobile ki baat hui, Suppose aapko fashion se related Affiliate partner select karna hai to aap jabong jaisi site choose kar sakte hain. Aap Hosting offers and themes offers bhi choose kar sakte hain.

Step 4: Products ki offers Facebook par Create kare

Ok, to humne Facebook page bana liya, Niche (subject) select kar liya, Affiliate partner select karke signup kar liya.
Ab hume apni products ko Facebook page par Post karna hai.
1: Apne Affiliate Partner site par jaye aur Products ki image Download kare, aur apni Affiliate link ready rakhe.
2: Apne FB page par aaye yaha aap apne Post Area me “Offers” tab dekh sakte hain, is tab ka use karke aap Offers and deals kafi professionally show kar sakte hain. Click on offer (See Below image)
facebook page
3: Offer Window ko open karne ke baad ab hume offers ki details add karni hai. (See below image)
facebook create offer
  1. URL: Yaha apna Affiliate link add kare. Jab koi “Get offer” par click karega to aapki link open hogi.
  2. Offer Type: Offer type me aap different offer option select kar sakte hain. Isme Percent off, price off, buy one get one, free stuff jaise option available hain.
  3. Currency: Currency me aap apni country ki currency select kar sakte hain.
  4. Discount Value: Discount value me product par kitna percent off hai, kitni price off hai – yah enter kar sakte hain.
  5. Title: Apni Product ka Title enter kare.
  6. Description: Products ki deals offer ke bare me small Description likhe.
  7. Photos: Products ke Photos upload kare. Photo ki size 400pixel wide honi chahiye.
Note: Aap apne Right-side Preview me live dekh sakte hain ki aapki offer post kaisi show karegi.
Offer set karne ke baad publish karne ke liye “Create Offer” par click kare.
Great! Aapki Offer Publish ho gayi hai, See live on your page.
facebook offer post
Boost Post: Agar aapke paas just $1 (Rs.66) ka budget hai to sirf ek din me aap is post ko popular kar sakte hain. Boost post me aap kisi bhi country ki audience ko target karke apni post ko popular bana sakte hain.
Dhyaan rahe jitne jyada log aapki post ko dekhenge utna jyada aapko benefit milega.
Now what: Bus kuch isi tarah se aap Apni affiliate products ko promote karte rahe. Ek din wo aayega jab aapki likes bhi badh jayegi aur aapki Products ki selling bhi badh jayegi.
Agar aap starting me hi aisa sochenge ki main money earn karne lagu to sorry isme time lagta hai. Bus Page ko Promote karte rahe jab bhi aapke paas extra budget ho.
FAQ: Questions and Answers
Q.1: Main kis niche (Subject) par page create karu?
Answer: Yah sawal aap apne aap se pooche, aapko kya pasand hai. Aap wordpress themes, hosting, online shopping site, Software, fashion, Coupon offer jaise subject par page bana sakte hain.
Q.2: Page ki Likes nahi increase ho rahi, kya kare?
Answer: Page Promote, ji ha page promote kare. Suppose aap 1 month apne page ko promote karte hain to aapko 2000-3000 likes mil sakti hain. Aur aapko spend karna hoga just Rs.1500.
Q.3: Post ko Popular kaise banaye?
Answer: Boost post, ji ha agar aapke page par likes kam hain to Boost post se aap post ko popular bana sakte hain.
Q.4: Kya sach me hum money earn kar sakte hain?
Answer: Already log kar rahe hain, bus aapko popular hona hai aur uske liye aapko hard work ke sath smart work karna hoga. And last patience rakhna hoga.
Advance TIP: Jab bhi aapke Products se related koi khaas and special offer aaye use aap Boost post ke jariye popular kar de. Im sure aapki sale increase hogi.
To dosto apni is post se maine aapko just ek idea diya hai, baki karna aapko hai. Aap theek se samajh sake iske liye maine step by step aapko guide kiya hai. Ab ye aap par depend karta hai aap kya kar sakte hain aur kitna kar sakte hain. Good Luck!

1 comment:

  1. Hello sir maine Fb page banaya he Amazon affiliate ke liye lekin aapne bataya ki offers PE click karke ham product k bare me sab details dal sakte he lekin mere page me offer ka option hi nahi aa raha ab me kya karu?

    ReplyDelete