Tuesday 19 July 2016

Facebook Par Website Ke Liye Brand Page Banaye

World ki sabse badi community facebook par apni website promote karna bahut jaruri hai. Lagbhag sabhi small or big business companies ke official facebook page aap khud bhi follow karte honge.
create facebook page



Website ko promote karne ka sabse easy way hai facebook page. Aap facebook par apni website ka branded page banakar website ko promote kar sakte hain and millions facebook users se connect ho sakte hain.
Yaha main aapko batane ja raha hu ki kaise aap website ke liye Facebook Page create kare.


Create Facebook Brand Page For Website

sabse pahle facebook create page URL open kare.
1: Yaha aapko Brand or Product category ko select karke usme Website option choose karna hai. second apni Website ka name enter karke Get started par click kare.
facebook page category


2: Ab next step me aapko about me apni website ki (1) description (2) website address (3) and facebook page ka address enter karna hai. [junkie-alert style=”red”] facebook page address ek bar hi change kar sakte hain, apna address site name par hi rakhe. For example: facebook.com/askmehindi [/junkie-alert] Click Save indo Now.
facebook create page
3: Ab next screen me apna profile picture add kare. profile Picture attractive and aapki website ko represent kare is tarah ka designed hona jaruri hai. Picture set karne ke baad Next par click kare.
facebook-add-profile-pic
4: Add to favourites option me aap skip kar sakte hain.
5: Preferred page audience option me aapko page ki audience set karna hai. Yaha aap
  • Locations me countries add kar sakte hain jaha aapko page show karna hai. Aap is option ko blank chor sakte hain.
  • Age me aapka page kis age ki community ke dekhne layak wo age set kare.
  • Gender me page kis gender ke layak hai aur kiske layak nahi wo set kare.
  • Interest me apne page ka topic choose kare. Aapki website blogging se related hai to blogging choose kare.
  • Languages me apne page ki language set kare.
set-audience-facebook-page
Now click on Save. Congrats aapka facebook page ready hai.

Ab hum apne page ki kuch basic setting, SEO setting karenge

1: Add Cover photo: Apne page ke homepage par Add a cover par click kare and attractive, nice looking cover photo add kare. Aap Fiverr se cover photo design karwa sakte hain at just $5. Cover photo ki size 400×150 pixel hona jaruri hai.
2: Ab About par click karke apne page, website and about you – sari information add kare. Yaha long description jarur add kare.
facebook-page-about
That’s it. Ab apne facebook page par posting karna start kar de. Apni audience boost kare. friends circles me page ko share kare.
Tip : facebook page ki likes increase karne ke liye aap facebook ads ka use kar sakte hain, iske liye aapko zara sa budget ready rakhna hoga. just $2 me aap 100 likes achieve kar sakte hain.
Kya aap jaante hain aap facebook page par bhi post ko schedule kar sakte hain: Facebook Par Apni Post Schedule Par Kaise Rakhe
Read Also:

No comments:

Post a Comment