Tuesday, 19 July 2016

Website Ke Liye Google+ Brand Page Kaise Banaye

Facebook ki tarah hi Google+ ek bahut badi community hai aur same facebook ki tarah Page banakar aap yaha apni website ko promote kar sakte hain aur quality traffic generate kar sakte hain apne blog ke liye.
Website banane ke baad apne content ko alag alag social network sites par promote karna bahut hi jaruri hota hai, agar aap apne content ko just website par hi post karte hain to aap bahut badi community ko miss kar rahe hai aur apni website par traffic ko rok rahe hain.



Website create karne ke baad sabse pahla kaam aapko yahi karna chaahiye ki alag-alag social sites par apna account banaye aur apne articles ko share kare.
In Social sites ki list me facebook, Google+, twitter, Pinterest, Linkedin, instagram etc aate hai jaha aapko apni website articles ko promote jarur karna chahiye.


facebook and Google+ par hum apni website ke liye alag se Brand Page bana sakte hain jo ki social network par hamari brand ko aur jyada popular banata hai. Lagbhag sabhi websites, companies ke facebook page aapne jarur dekhe honge, same Google+ par bhi sabhi badi badi Brands ke Pages aap dekh sakte hain.
Aaj ham baat karenge ki kaise aap apni website ke liye Google+ Brand page createkare?
create page google+

Google+ Par Brand Page kaise banaye?

Step 1: jaisa ki aap jaante hain sirf single ID se hum Google ki sari services ka use kar sakte hain isliye apne Gmail account par loin kare aur create page link par jaye – https://business.google.com/create
Step 2: Create page par aapko “Brand” select karna hai kyunki ham apni brand/website ko promote karne ja rahe hain.


create google+ page
Step 3: Ab next screen me aapko Page NameWebsite Address enter karna hai aurType of Page me Product or Brand choose karke “create page” par click karna hai.
Aapka Page create ho chuka hai. Ab next hame brand page ki settings karna hai jisme apni website details, logo, cover photo add karna hai.

Brand Page Logo And Cover Photo Add Kare

Page create karne ke baad sabse pahle aapko cover photo and Logo add karna hai. Dono ka look professional hona jaruri hai.
googleplus cover logo
Staylish Cover photo aap fotojet.com par easily create kar sakte hain. fotojet par aap drag and drop karke professional cover photo design kar sakte hain.
Aap fiverr par logo and cover $5 me order kar sakte hain.

Add Tagline, Intro and contact info

Google+ par page create karne ke baad ab hame apne page ki profile set karni hai, jisme hame About option me apni website se related information insert karni hai
google page create



  • About tab par click kare
  • Story tab par aapko apne page ki tagline and introduction add karna hai. Introduction short and sweet rakhe.
  • Agar website ke liye page banaya hai to apni website ki details add kare.

Page Ka Custom URL set kare

Google+ page par aap apna custom URL set kar sakte hain, jaise ki mera URL hai “google.com/+Askmehindi”
Aap bhi apna personal custom URL set kar sakte hain.
  • Apna custom address set karne ke liye About tab par “Links” par click kare.
  • Links me aapko apni site verify karni hogi.
  • Uske baad edit par click karke aap apna custom URL add kar sakte hain.
custom address google+ page

Friends ko Page Ka Manager banaye

Apne page ko manage karne ke liye aap apne friends circle me kisi ko bhi page ka manager bana sakte hain.
Page manager ke paas aapke Google+ page me post karne ka, page edit karne ke rights hote hain.
  • Page manager add karne ke liye Page ki settings par click kare, yaha Managers select kare aur ADD manager par click kare
  • Now apne friend ki email ID type kar request send kare.
add manager google page
Aapke friend ko page manager ki request link receive hogi aur usko link open kar verify karna hoga.

Google+ Page par Post Kaise Kare

Google+ page par aap kayi tarah ki post kar sakte hain wo bhi bina word limitation ke.
Post editor me aap Photo, video, link, Poll, event jaisi post kar sakte hain.
Aap post ki visibility set kar sakte hain jisme post kisko show kare public, circles, aapke friends wo sab aap choose kar sakte hain.
Video aap apbe Youtube channel se direct post kar sakte hain ya fir direct search karke add kar sakte hain.
Conclusion
Google+ ek bahut badi community hai aur aap isko ignore nahi kar sakte. Apni website ki post ko aap agar achhi tarah se yaha publish karenge to im sure aapko maximum traffic google+ se receive hoga.

No comments:

Post a Comment