Maine aapko Blogger par post schedule kaise karte hai and wordpress me kaise karte hain iske bare me bataya tha apni last post me.
Kya aapko pata hai facebook par bhi aap apni post ko schedule par rakh sakte hain. Mean aapke set kiye gaye time and date par aapki post automatic publish ho jayegi.
Friend ki Timeline par Post Schedule Kare
Apne friend ki timeline par post ko aap schedule par rakh sakte hain. Yaha aapko apni post ka time set karna hai. Jis time par aapne set kiya hai usi time par aapki post friend ki timeline par publish ho jayegi, kaise? aaiye dekhte hain:-
Apne friend ki profile open kare and uski Time-line par apna message type kar de. Ab jara neeche icons me watch ke icon par click kare.
Yaha aapko Year/Date/time/hour/minute enter karna hai and post publish kar dena hai apne friend ki timeline par.
Aapke set kiye gaye time par post publish ho jayegi.
Facebook page par Post Schedule kare
Kya aap Facebook page manage karte hain, fir to aapko apne visitors ko banaye rakhne ke liye daily post karna padta hoga, Right?
Suppose aapke paas kuch din facebook access karne ka samay na ho tab aap kya karenge? kaise rakhenge apna page up-to-date?
Yaha ek hi solution hai apni post ko schedule par rakh de. Jitne din aap facebook se door ho rahe hain utni posts ko page par schedule par rakh de, fir kya aapki post automatic usi date and time par publish ho jayegi. Let’s see:-
Apni Post ko apne facebook page par add kare, ab Publish tab ke down button par click karke Schedule option select kare. (See below image)
Ab Post Schedule pop-up window me date and time set karke Schedule par click kare. That’s it aapki post usi date and time par automatic publish ho jayegi.
Waise Page ko daily update rakhna bahut aasan hai but kabhi kabhi hum post nahi kar pate, koi bhi reason ho aise me post scheduling bahut kaam aati hai. Try kare.
Kya aapko pata hai Google ke 10 important URL jo aapko janana jaruri hai? Nahi pata to Read: Google’s 10 must know URL
No comments:
Post a Comment