Tuesday, 19 July 2016

Facebook Page Promote Kar Thousands Likes Paye

Facebook par agar aapke page ko sufficient likes nahi mil rahi to aap apne page ko Facebook par promote kar sakte hain. Yaha main aapko yahi batane ja raha hu ki kaise aap apne page ki likes badha sakte hain page promote feature se.
Hamara page jab bilkul new hota hai to sabse badi problem audience kaha se laye yah hoti hai. Apne page ko logo ke beech kaise laye taki hume jyada se jyada likes mil sake.
facebook page promote

Aapki isi problem ka solution hai facebook ki premium feature ” Page promote“, ji ha aap kuch money spend karke apne page ki likes badha sakte hain. Aapko kitni likes milegi yah aapke budget par depend karta hai.


To aaiye dekhte hain apne Page ko kaise Promote kiya jata hai?

How To Promote Facebook Page?

Sabse pahle apne page ko open kare yaha aapko “Promote Page” ka option show karega. Uske upar click kare aur open kare.
facebook promote page
Ab hume page ko promote karne ke liye uski Good looking Ad create karni hogi. Yaha aapko khaas dhyaan rakhna hai ki aapki Ad professional dikhe, Logo, Cover and Description khas taur par best hona jaruri hai.


Ad create Window me hume kya-kya karna hai iski details aap neeche dekh sakte hain.
promote page facebook
  • Text: Yaha aapko apne Page ki Description likhna hai. Aap Right side Preview me dekh sakte hain.
  • Add an image: Agar aapne page ka Cover add kiya hai to aapko image upload karne ki jarurat nahi hai, fir bhi aap dusri image add karna chahte hain to add kar sakte hain. (Ab aap video bhi add kar sakte hain)
  • Audience: Yaha aap Gender me ALL select kare.facebook page promote

  • Age: Isme aap Age restriction set kar sakte hain, aapka page kis age ke liye perfect hai.
  • Locations: Yaha aap un countries ko select kar sakte hain jaha se aapko jyada se jyada Likes pana hai.
  • Interests: Isme aapko apne page ke keywords enter karna hai. Jaise ki main Blogging, wordpress, Seo jaise keywords choose karunga.
promote page facebook
  • Daily Budget: me aap apni amount enter kare. Yaha aap minimum $1 set kar sakte hain. $1 me aapko estimate 50 likes mil sakti hain.
  • Duration: Yaha aap apni ad ki duration select kar sakte hain. Aapko ad just 1 day ke liye show karna hai to “Run this ad until” me next date select kare.
  • Aapko kitna pay karna hai aur ad kitne time tak run hogi wo aap neeche dekh sakte hain.
promote page facebook payment
Now it’s time to select payment method.
Aap payment method add karne ke liye Paypal and Debit card use kar sakte hain. Payment method add karne ke baad aapki Ad review karne ke baad kuch minutes me hi promote ho jayegi.
Aapko charge month ke end me hoga mean agar aapne $1 just 1 day ke liye apna page promote kiya hai to aapke select kiye gaye payment method me se month ke end me $1 charge kar liya jayega.

Ad Manager par apni ADS control kare

Page ko Promote karne ke baad aap Ad ko “Ad manager” par manage kar sakte hain.
  • Ad manager par aap Ad ko enable/Disable kar sakte hain.
  • Payment limit set kar sakte hain.
  • Ad create kar sakte hain.
Ad manager ko open karne ke liye Facebook Setting par ‘Manage Ad‘ par click kare.
[junkie-alert style=”red”] Note: Aapne jitne days ke liye Ad promote ki hai utne din complete hone ke baad Ad ko Disable kar de. Suppose aapne $1 me sirf 1 day ke liye ad promote ki hai to after 1 day, Ad manager par jakar ad ko “Inactive” kar de. [/junkie-alert]

Ad manager par aap keval page hi nahi balki aur bhi cheejo ko promote kar sakte hain. Like:
  • Post ko Promote karke traffic boost karna.
  • Aapki koi App hai use promote kar sakte hain.
  • facebook users ko apni website par move kar sakte hain.
  • Videos ke view increase kar sakte hain.
  • Offers create karke aap apni Affiliate earning increase kar sakte hain.
In sabhi features ko use karne ke liye “Ad manager” par jaye and ‘Create Ad‘ par click kare. yaha aap sabhi option dekh sakte hain.
facebook ad manager
  • Suppose aapko Video ko promote karna hai to first ‘Campaign‘ me ‘Get Videos View‘ select karenge.
  • Ab “Ad set” me aapko Video ki Audience, placement and budget select karna hai.
  • AD option par aapko Video upload karna hai, Video ke sath Download, Signup, watch more, signup jaise call to action button bhi laga sakte hain.
Overall aap khud try karenge to aapko pata chalega ki Facebook ki yah new features publishers ke liye bahut beneficial hain.
Agar aapko kuch bhi Facebook par popular karna hai, aapki baat ko jyada se jyada logo tak pahuchana hai to facebook ki promoting feature ka use kare.
Just kuch money spend karke aap FB community ko apne page par attract kar sakte hain. Main aapko suggest karunga ki as Trail basis par sirf $1 spend karke yah try kare, i’m sure aapko jarur best result milega.
Read Also:

No comments:

Post a Comment