Aaj main aapko social sharing ke aisi online toolbar ke bare me bata raha hu jike jariye aap apne Blogger website me easily social sharing button laga sakte hain, wo bhi kisi bhi jagah.
Last post me maine aapko Sharethis tool bar ke bare me bataya tha, bus yah toolbar same work karta hai but isme kuch extra features hain, jo aapko apniblogger website me kisi bhi jagah social sharing button add karne ki facility deti hai.
Social share buttons apne website me add karne se aapke visitors post ko social platform par share kar sakte hain, jis se aapko social sites se traffic milne ka chance rahta hai.
Kya Hai Add this
Add this online social sharing toolbar hai. Yaha aap apni website me kisi bhi place par social buttons show kar sakte hain. Yah toolbar blogger, wordpress, tumblr kisi bhi platform ko support karta hai.
Sabse important yah toolbar aapko free and premium services provide karta hai. Aap free me is toolbar ke button ka use kar sakte hain. Yah premium quality ke sharing button bhi provide karta hai.
Features:
- Aap single code apni website me paste karke iska use kar sakte hain.
- Free – Floating sharing button
- Free – follow button in sidebar
- Custom sharing sidebar with count
- Free – Below post sharing widget
- Free – Image share karne ke liye sharing buttons
- Free Mobile friendly responsive buttons
- Full page Pop-up box to promote link, follow us
- Analytics Dashboard jaha aap har activity dekh sakte hain
Features to aapne dekh li ab hum is toolbar ko sirf single code ko paste karke apne blogger website me add karenge.
Install ADD this in Blogger
Sabse pahle ADD This website par visit kare aur free signup karke apna account create kare. Free account create karne ke baad login kare.
- Apne Account me login karne ke baad Dashboard par sabse pahle top par GET THE CODE par click kare./see below image
- Ab jo code aapko diya gaya hai wo copy kare. Yah single code hi aapko blogger me add karna hai.
- Ab apna blogger dashboard open kare aur apne Blog ke Template » EDIT Html par click kare.
- Template ke andar aapko </body> search karna hai, and just uske top par Add this code paste kar dena hai. Paste karne ke baad save template par click kare.
Good job! Humne successfully Add this apne Blogger me install kar liya hai.
Ab hum alag-alag Social sharing Button apne Blogger website me different places par add karenge, so let’s see:-
1# Sidebar me Floating share button add kare
- Add this dashboard par TOOLS » Share buttons par click kare.
- Share buttons me aap sabhi free and premium available buttons ki list dekh sakte hain.
- Yaha aapko Sharing Sidebar par SETUP par click karna hai. Yah tool free available hai.
SETUP me aap buttons ki settings ko customize kar sakte hain, like placement, theme etc, see how:-
- Choose a Side me aapko toolbar left/right kaha show karna hai wo set kare.
- Theme me colour look change kar sakte hain
- Title me aap share this jaise type kar sakte hain
- Show share counts me count number show/hide kar sakte hain.
- Show more options me aap bahut kuch change kar sakte hain.
Sabhi settings karne ke baad Activate par click kare
Activate par click karke hi yah toolbar aapki blogger website me Active ho jayega. Aap blog open karke dekh sakte hain.
Add this dashboard par “TOOLS” me aapka activated toolbar ON show karega. Aap yaha par OFF karke widget Disable bhi kar sakte hain.
2# Mobile Share ToolBar add kare
Mobile screen responsive share toolbar add karne se aapki website ke sabse neeche buttons show karte hain. Yah widget specially mobile screen ke liye free available hai.
- Mobile share widget blogger me add karne ke liye Tools me Mobile sharing Toolbar ke SETUP par click kare.
- Setup me aap is toolbar ko Top/bottom kahi bhi show kar sakte hain. other settings (like above)karke Activate par click kare.
- That’s it, ab apne smartphone me apna blog open kare and see.
3# Image Share Buttons add kare
Aapki image par koi mouse point kare aur uske point karte hi share buttons show kare to image share karne ke chances ban jate hain.
Image share button bahut hi powerful widget hai aap is toolbar ko activate karke apni post ke andar kisi bhi image me share button show kar sakte hain. See below:-
- Image Share toolbar add karne karne ke liye TOOLS me Image sharing buttonspar SETUP par click kare.
- Setup me aap buttons ki positions set kar sakte hain left/right/top/bottom.
- Others setting karke Activate par click kare and Done!
4# Blogger Sidebar me Follow Widget Add kare
Apni website ke sidebar me Follow widget lagane se visitors aapke social platforms par connect ho sakte hain, sath hi aapki website bhi professional lagti hai.
Add this toolbar se aap apni sidebar me alag-alag follow widget easily add kar sakte hain, see how:-
- Add this dashboard par TOOLS » Follow Buttons par click kare
- Yaha aap free kayi follow widget dekh sakte hain jo aap SETUP par click karke apne Blogger par add kar sakte hain.
- SETUP me aapko social site ke icons select karna hai and apni selected social profiles ka address type karna hai.
- Activate par click karne ke baad next screen me new widget code generate hoga. Wo code aapko Blogger » Layout » Sidebar me Add gadget »HTML/Javascript me paste karna hai. That’s it.
Bus kuch is tarah se aap other free available toolbar use kar sakte hain. Aapko just Setup karke Activate karna hai. Disable karne ke liye toolbar ko off kar sakte hain.
5# Apni Post ko Website me pop-up window me show kare
Koi special post ki hai? Apne visitors ko special post show karna chahte hain? Add this ke Targeting feature se aap apni kisi bhi post me website par Full window box me show kar sakte hain. See below:-
- Add karne ke liye TOOLS » Targeting par click kare.
- Yaha aapko Create New Rule par click karna hai.
- Next Promote a Link par click kare.
- Next screen me apni Post ka URL enter kare aur Preview par click karke Text ko change, customize kare.
- Now Activate par click kare.
Analytics dashboard par apni Share activity dekhe
Add this aapko Analytics dashboard bhi provide karta hai jaha aap apne toolbar ki activity dekh sakte hain.
Apni Activity ko dekhne ke liye Add this dashboard par Analytics par click kare, jaha aap total share, visits, follow, suggest post etc dekh sakte hain.
Overall, yah toolbar bahut important hai and easy bhi hai. Aap jo third-party script use karte hain unse kayi jyada behtar and fast hai. Aur bhi Aisi bahut se features hain jo main aapko nahi bata paya hu.
Aur ek baat third-party script jo aap other site se copy karke apne blogger par add karte hain usme backlinks add hoti hai jo aapki site ke SEO ke liye perfect nahi hai.
Yah online toolbar aapko apne blogger me har jagah sharing buttons place karne ki features provide karta hai, so friends ek bar try jarur kare.
NICE BLOG THANK YOU SIR
ReplyDeletehttps://trick4inspire.blogspot.com/2016/12/blogger-me-floating-social-share-button.html
trick4inspire.blogspot.com
ReplyDeleteyha se aap koi bhi blog design ke bare me qustion puch sakte hai