Tuesday, 19 July 2016

Font Awesome Icons Blogger Me Kaise ADD Kare

font awesome Blogger
Font Awesome icons ek online icons ka set hai jise koi bhi use kar sakta hai wo bhi completely free . Aaj hum baat karenge kaise font awesome icons apne Blogger site me ADD and use kar sakte hain.

Font Awesome Icons Kya Hai?

Simple language me kahu to Font Awesome ek bahut bada icons ka collection hai internet par jise koi bhi free me apni website, theme, designing, App, anywhere use kar sakta hai.
Yah icons very fast loading hain and other png/gif icons se 10x jyada fast load hote hain. Tabhi lag-bhag sabhi web designers, theme developers, Apps developer aur website owners iska use karte hain.


Apni website me social button aap easily add kar sakte hain, navigation menu me aap in icons ko add karke customize kar sakte hain. Post me kuch mention karna ho to aap inka use kar sakte hain.

Features:

  • Easy customize: In icons ko aap easily customize kar sakte hain CSS se. Size, colour, shadow sab-kuch aap change kar sakte hain.
  • Free: 600+ icons completely Free hain mean aap apni website, theme, App kahi bhi use kar sakte hain.
  • Fast Loading: PNG icons me website ki speed par effect padta hai tabhi aaj sabhi web designer and theme developer font awesome icons use karte hain. Aaj ki latest Blogger theme in icons ko support karti hain.
  • All type category icons: Font Awesome collection me sabhi category ke icons available hain. Social, web, currency, brand etc etc lagbhag sabhi.

ADD Font Awesome Icons in Blogger

Blogger me yah icons ADD karne ke liye aapko just ek choti si script apne template me add karna hai. See how:-
  • Apne Blog me Template » Edit Html par click kare.
  • Now template ke andar ctrl+f press karke “<head>” search kare.
  • Ab <head> ke neeche aapko just below code paste karna hai. And Template save kar le.
DATA HOSTED WITH ♥ BY PASTEBIN.COM - DOWNLOAD RAW - SEE ORIGINAL
  1. <link href='https://maxcdn.bootstrapcdn.com/font-awesome/4.5.0/css/font-awesome.min.css' rel='stylesheet'/>

blogger edit html
Great! aapne successfully Font Awesome icons Blogger me add kar liya hai.
Now ab aapko Blogger me in icons ka use kaise karna hai wo seekhna hai.


How To Use Font Awesome icons in Blogger

Successfully icons Blogger me add karne ke baad inko use karna bahut easy hai. Sabhi icons ka ek hi type ka code hota hai.
Bus aapko code me icons ka name change karna hota hai. Code kuch is tarah ka hota hai.
<i class="fa fa-facebook"></i>
Yaha “facebook” ki jagah aap koi dusre icon ka name add kar sakte hain.
  • Blogger me apni post ke andar icons add karne ke liye aap above code ka use kar sakte hain bus aapko dhyaan rakhna hai code “HTML Mode” me hi paste/type kare.
  • Agar aapko icon ki size me change karna hai to just follow below code:
<i class=”fa fa-car” style=”font-size:48px;“></i>
  • Above code me aap 48px ki jagah koi bhi size add kar sakte hain.
  • Agar aapko colour change karna hai to just use below code:
<i class=”fa fa-car” style=”font-size:60px;color:red;”></i>
  • Yaha “red” ki jagah aap koi bhi css color add kar sakte hain.

Conclusion
To is tarah se aap apne blogger me in font awesome ka use kar sakte hain. Waise jaisa ki maine aapko bataya aaj ki latest blogger themes me yah feature added hoti hai. Aapko just iska use kaise karna hai wo learn karna hai jo bahut easy hai.
Must Read:

No comments:

Post a Comment