Tuesday, 19 July 2016

Blogger Me Sitemap Kaise ADD Kare?

add sitemap blogger
Jab aap Blogger par apna Blog create karte hain tab Google ki taraf se by-default aapka sitemap create ho jata hai. Google and Bing jaise search engines sitemap ki XML files ko read karke aapke pages and posts index karte hain aur search results me show karte hain.
But blogger ke default sitemap me problem yah hoti hai ki google ke crawlers keval 26 pages ko hi crawl kar pate hain. Mean aapki us se jyada post ho to wo unhe crawlers ignore karte hain.
Isiliye aapko apne Blogger Blog ke liye apna complete sitemap create karna hota hai jis se aapke sabhi post and pages ki crawling ho sake.


Don’t worry aap easily apne Blogger ke liye sitemap create kar sakte hain aur Blog me add kar sakte hain. Let’s see how:-

Create Sitemap for Blogger

  • Sabse pahle aapko Blogger sitemap Generator open karna hai. Bata du yah online tool bar india ke number one blogger amit agarwal ne create kiya hai.
  • Now Tool bar me aapko apna Blog address type karna hai aur Generate Sitemap par click karna hai.
sitemap generator
  • Ab aap dekh sakte hain aapka XML sitemap create hu chuka hai, Ab aapko yah copy karna hai aur Blogger me add karna hai. Copy kare. (See below image)
Xml sitemap blogger
Now login to your Blogger Dashboard. And Follow below image guide.blogger robot txt


  1. Yaha aapko Blog ki Settings » Search Preferences par click karna hai.
  2. Now Custom robots.txt jo ki Disabled hai uske upar EDIT par click karke “YES” karke Enable karenge, aur waha Generate kiya gaya Sitemap paste karenge.
  3. Now Save changes par click karke Save kar le.
That’s it.
Ab search engine aapki Robot.txt files ko read karke aapki posts and pages ko index karenge automatically.
Sitemap to aapne create kar liya, bus create karne ke baad aapko Google search console and Bing Webmasters tools ko submit karna bahut jaruri hota hai. Taki aapke post and pages ki achhi tarah se indexing ho sake.

No comments:

Post a Comment