Jab bhi aap koi new website launch karte hain to aapko apni site ka sitemap Google and Bing jaise search engine ko send karna jaruri hota hai.
Sitemap Submit karne se search engine aapki website ke posts, pages, images ko index karte hain aur search results me show karte hain.
Aaj hum baat karenge ki Google search console me apni wordpress website ka sitemap kaise submit kare.
Google world ka sabse bada search engine hai aur hamari site par 80% se jyada traffic google se hi aata hai. Isliye aapko apni site ka sitemap google ko send karna bahut jaruri hai.
Aap kuch steps follow karke apni wordpress site ka sitemap Google webmasters me submit kar sakte hain. See how:
Step: 1) Add XML Sitemap in WordPress
Sabse pahle aap apni wordpress site ka XMl sitemap create kar le. Aisa karne se aapki site fast index hogi and crawl errors kam hongi.
Aap yoast plugin and Google xml sitemap plugins se yah kaam easily kar sakte hain.
Step: 2) Verify Your Site
Google me sitemap submit karne se pahle aapko apni site ko verify karna padta hai. Verify karne ki process bahut easy hai.
1
Sabse pahle Google Search Console me jakar apne gmail account se login kare and Right side me ADD A PROPERTY par click kare.
- Add property window me apni site ka url enter kare and Add par click kare.
2
Ab next screen me aapko apni website ko verify karne ke liye alag-alag methods provide ki jayegi.
- Sabse easy method hai html tag. Alternate Methods par click kare aur HTML tag ko select kare.
- Yah html tag aapko apni wordpress site ke <head> section me add karna hai. Jo bahut easy hai.
3
HTML tag ko aap wordpress ke <head> section me 2 methods se add kar sakte hain, aapko jo perfect lage wo choose kare.
Method 1: Theme editor <head> section me tag code paste kare
WordPress site me html tag add karne ke liye apne Dashboard par login kare
- Dashboard option me Appearance » Editor par click kare. Editor me aapkoTheme header (header.php) par click karna hai.
- Ab <head> ke below html tag paste kare aur settings save kar le. (see below image)
Method 2: Header and Footer plugin se html tag add kare
Apne Dashboard par Plugins » Add New par click kare aur Header and footer plugin search kare. Now plugin ko install and activate kare.
Plugin install and activate karne ke baad aap is plugin ko Settings me dekh sakte hain.
Settings me Header and Footer par click kare aur Header and footer me <head>section me Html tag paste kar save kare ( see below)
4
WordPress me html tag add karne ke baad ab aapko search console par aana hai aur below side verify par click karna hai.
Successful verification ka message aapko show karega. Mean aapki site verify ho gayi hai.
Step: 3) Submit Sitemap To Google
Website ko verify karne ke baad ab hume apna sitemap submit karna hai.
1
Google search console home page par visit kare aur aapki add ki gayi website par click kare.
- Dashboard par left side options me aapko Crawl » Sitemaps par click karna hai.
2
Sitemap me aapko right side ADD/TEST SITEMAP par click karna hai
Ab small box me aapko sitemap.xml type kar Submit par click karna hai. Done!
Aapne successfully apni wordpress site ka sitemap Google search console me submit kar diya hai.
Abhi aapka sitemap pending show karega, jab aapki site crawl ki jayegi tab aap aapki site ki indexing dekh sakte hain.
Bus after 24 hours aap apne website ki post ki indexing search console me dekh sakte hain
Conclusion
To is tarah aap apni wordpress site ko Google search console me verify karke apna sitemap submit kar sakte hain.
Google search console har website ke liye bahut important hota hai, aap apni site se related har error and SEO related query search console par dekh sakte hain, aapko weekly apna search console open kar website ki performance ko check karna jaruri hai.
No comments:
Post a Comment