Hello, Yaha main apni Quick Guide me aapko bataunga ki kaise aap Bigrock.com se Domain name Purchase karke apne Blogger Blog/Website par Laga sakte hain.
Main personally apni Website ke liye Bigrock se hi Domain Purchase karta hu. Waise Domain Name aap kahi se bhi purchase kar sakte hain. Sabhi jagah Cost ek hi hota hai.
Blogger par Domain ADD karne ki ek alag hi process hai. WordPress me yah kaam bahut easy hai lekin Blogger me thoda long-process hai.
So, Let’s learn How To ADD Domain Name to Blogger
Step# 1: BigRock.com par Domain Purchse kare
Sabse pahle Bigrock.com par visit kare aur yaha apni Wesbite/Blog ke liye perfect Domain name search kare.
Domain Name aapke Blog/website ke topic se matched hona chahiye, Domain Name search kare aur Available hai to ADD par click kare. (See below image)
Ab Next aapko Domain Name ki Payment Pay karni hogi. right Side Checkout par click kare aur Netbanking/Debit card se Pay kare. Bigrock par Account nahi hai to Payment ke samay create kare.
Humne Domain name Purchase kar liya hai.
Step# 2: ADD Domain Name To Blogger
Ab apne BigRock.com account par Log-in kare.
Login karne ke baad – Manage order par click karke List/Search Order par click kare. Yaha hamare sabhi order ki list available hoti hai. (⇓)
Apni order list me jo Domain aapne abhi purchase kiya hai uske upar click kare. (⇓)
Domain name par click karne ke baad new screen me aapko Scroll-down karke neeche aana hai yaha aapko “DNS Management” par Manage DNS par click karna hai (⇓ See below)
Manage DNS par click karne ke baad new Small window open hogi, yaha aapko“A records” par click karna hai. Uske baad “Add A record” tab par click kare. (⇓)
Add A record par click karne ke baad ab aapko kuch neeche ki image ki tarah “Destination IPv4 Address” me ‘216.239.32.21′ add karna hai. Add karne ke baad ADD Record par click kare. (⇓)
Ab jaisa ki aapne upar First A Record kiya, theek usi tarah aapko 3 -times aur A record add karna hai. Fir se Add A record par click kare aur 3-Bar neeche di gayi Number series Add kare.
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21
Ab aapke 4 A Records kuch Neeche ki image ki tarah Show karenge. See: (⇓)
A records ADD karne ke baad ab Hume CNAME records ADD karna hai. Iske Liye“CNAME records” par click kare aur ADD CNAME record par click kare. (⇓)
Add CNAME record par click karne ke baad aapko Cname record me kuch aise ADD karna hai:
Host name: www
value: (select second) ghs.google.com – ADD record par click kare. (See below image)
Host name: www
value: (select second) ghs.google.com – ADD record par click kare. (See below image)
Ab fir se aapko Second CNAME record Add karna hai. “Add CNAME record” par click kare.
Ab yaha aapko apne Blogger blog par generate ki gayi value ADD karna hai. Iske liye Blogger Dashboard par jaye aur yaha Settings » Basic par click kare. Yaha aapko Publishing option me “Setup a 3rd party URL for your blog” par click karna hai. (See below)
setup a 3rd party… par click karne ke baad aapko apna Purchased kiya gaya Domain Name ADD karna hai. www jarura add kare (See below). Now click Save.
Save par click karte hi aapko error message show karega, us error message me below image ki tarah value aapko show karegi.
Yaha hum first value www/ghs.google.com ADD kar chuke hai CNAME record me. Ab hume second value RED Box me show kar rahi hai wo ADD karna hai. (⇓)
Ab fir se Bigrock ADD CNAME par aaye aur second CNAME Record me host name & value me blogger par generate value add kare. Below Image dekhe usme maine kis tarah ADD kiya hai. Now click ADD Record. (⇓)
Ab kuch 30-minutes ka wait kare.
30-minutes ka wait karne ke baad apne Blogger Dashboard par jaye aur Settings » Basic me fir se apna Domain name enter kare, Redirect yourdomain.com to www.yourdomain.com par check √ mark kare aur Save kare. (⇓)
Ab koi bhi error nahi aayegi aur successfully aapka Domain Name Blogger me ADDho jayega. Agar error aati hai to wait kare. Setting update hone me time lagta hai.
So, friends is tarah aap apne Blogger me Custom Domain name ADD kar sakte hain. Aapne agar kisi aur jagah se Domain purchase kiya hai to same method se ADD kar sakte hain.
No comments:
Post a Comment