Yes, aaj main aapko step-by-step bataunga ki kaise Blogger par AdSense Approved Website/Blog banate hain. Is post ke jariye main un sabhi new bloggers ko guide karunga ki kaise adsense ke layak Blogger par Blog/Website banayi jati hai.
Hamare kayi new bloggers ki aksar ek complaint hoti hai wo ye ki unka Adsense reject ho jata hai, unhe ye samajh me nahi aata ki aisa kyu ho raha hai.
Adsense Application reject hone ki ek hi vajah hoti hai – Aapka Blog/Website Adsense compatible (Layak) nahi hai. Usme Bahut se mistakes hain jo aapko clear karni hai.
Yaha main aapko yahi bataunga ki – aapko kis tarah Blogger par website/Blog create karna hai jis se aapka Blog Adsense compatible ban sake. Let’s See Step-by-step process to make Perfect Blogger Blog/Website
Blogger Kya Hai?
Blogger – Google ka free platform hai jaha aap aur main free me Blog/Website bana sakte hain. Yah completely free service hai.
Blogger, wordpress se bhi old hai. Jab wordpress nahi tha tab sabhi Bloggers is free platform ka hi use karte the. Us samay Blogger ka use apni knowledge, feelings ko share karne ke liye kiya jata tha.
Blogger par aap Photo upload kar sakte hain, apna Custom Domain add kar sakte hain, personal theme upload karke Design kar sakte hain, logo add kar sakte hain – Overall ek perfect website bana sake wo sari features available hain.
Blogger Par Blog/Website Kaise Banaye?
Step#1: Create Blog/website
Sabse pahle Blogger.com par visit kare aur apni Google ID se login kare. Yaha aapko “New Blog” par click karke apna Blog banane ki shuruat karni hai. (see below)
New Blog par click karne ke baad ab New small window me aapko apna Blog Title, Blog Address and Blog template select karke “create Blog” par click karna hai. (See Below Image)
Create Blog par click karte hi hamara Blogger Blog create ho chuka hai. Aap apne new Blog ko dekh sakte hain.
Step# 2: Blogger Blog/Website Me Domain Name ADD kare
Aapka New blog bankar ready hai. Ab aapko sabse pahla kaam karna hai Custom Domain Name ADD karna.
Abhi aapke Blog ka Address “AskmeQuote.blogspot.com” kuch aisa hai. Yaha aapko “blogspot.com” remove karke “AskmeQuote.com” aisa Address banana hai. Aur aisa aap Custom Domain Name ADD karke kar sakte hain.
Custom Domain aap kisi Bhi Domain Provider se purchase kar sakte hain. Main Yaha BigRock.com se Domain Name Purchase kar raha hu.
BigRock.com par jaye aur apna Domain name search kare.
- Search Bar Me apni Website ke Topic se related Name enter kare. For example: Main Quote ki website bana raha hu to maine AskMeQuote type kiya hai. Now Click on Go.
- Search karne ke baad agar aapka Domain Name Available hai to “ADD” par click kare. Agar available nahi hai to dusra name add karke again search kare.
- Yaha aap .com, .net, .org, .in – koi bhi domain select kar sakte hain.
Domain Name ADD karne ke baad Checkout par click karke Payment kare. Payment karne ke liye apna Account Bigrock par create kar le.
Aapne Domain Name purchase kar liya hai. Ab is Domain name ko hume apne New Blog par ADD karna hai.
Blogger par Bigrock se purchase kiya gaya Domain Name kaise ADD karte hain iske liye hamari is post ko Read kare – BigRock se Domain Name Blogger me Kaise ADD kare?
Humne Apne Blog Me Custom Domain Bhi ADD kar liya hai.
Ab next hume apne Blog ko Beautiful & professional Banana hai iske liye perfect theme search kare.
Step# 3: Blogger Me Professional Theme Upload Kare
Blogger theme aap free & Premium Download kar sakte hain. Main yaha aapko suggest karunga ki Premium theme hi Purchase kare. Kyunki Free theme me unnecessary coding aati hai jo aapki site ko slow banati hai.
Premium Theme clean hoti hai aur aap CopyRight link bhi hata sakte hain. Blogger ke liye Premium theme aap just Rs.500 me Purchase kar sakte hain.
Ek baat aur Blogger theme aapki responsive hona jaruri hai. Responsive theme Mobile screen par aapki website ko better show karti hai.
Soratemplates.com – ek aisa place hai jaha se aap Beautiful Responsive Blogger theme just Rs.500 me purchase kar sakte hain, Main jab Blogger use karta tha tab maine kayi themes yaha se Purchase ki thi.
Theme Purchase karne ke baad ab hume theme apne Blogger me upload karna hai.
Theme Upload karne ke liye Blogger dashboard par “template” option par click kare,yaha Right-side top par Backup/Restore par click kare.
Ab small window open hogi jaha hume apni Blogger theme upload karna hai.Note: Blogger Theme .XML file extension me hoti hai isliye jaha se bhi theme download kare, agar wo ZIP file me hai to extract kar le.
Choose file me template ki XML file select kare aur upload button par click karke theme install kare.
Humne Successfully theme upload kar li hai. Ab Layout par jakar aap ise customize kar sakte hain.
Step# 4: Theme Ko Design Kare
Aapko Theme ko Design karne ke liye kuch bhi coding ki jarurat nahi hai aur na hi kisi third-party widget ki jarurat hai.
Aaj ki latest Blogger themes Fully-Featured design ki jati hain mean aapko just Theme ki Guide Documents ki help se theme ka setup karna hai.
For example: Apne Blog me subscribe box add karna ho to aapko just apni FeedBurner ID karna hai, Aapko Social Icons Add karna hai to just aapko Social links add karni padegi.
[junkie-alert style=”grey”] Main ek baat aur kahna chahunga, kabhi bhi kisi site se widget add karne ka code use na kare, kyunki us code me us site ki link added hoti hai jo ki aapki site ke SEO ke liye better nahi hai. [/junkie-alert]
Theme ko Design karne ke liye theme ke sath Documents provide kiya jata hai wo Read kare, aur kuch Dummy post karke apni theme ko setup kare.
Step# 5: Contact Us, privacy, About us ADD kare
Adsense Apply karne se pahle aapko Contact us, Privacy Policy and About Us Add jarur create karna chahiye.
1: ADD Contact Us Page
Contact page ADD karne ke liye aapko kisi third-party widget ki jarurat nahi hai. Google ka official contact page sabse best and trusted hai, main wo hi aapko suggest karunga.
Google contact page aap apni site/Blog me SideBar ya footer widget me laga sakte hain.
Contact page ADD karne ke liye Layout » ADD Gadget » More Gadgets- yaha contact form + par click kare. Aapka Widget ADD ho jayega. (See below image)
2: ADD About and Privacy Page
Apne Blog me About us page and Privacy page ko ADD karna bahut hi jaruri hota hai. Google in pages ko Adsense Approve karne ke liye check karta hai. Agar ye pages nahi hai to ho sakta hai aapki adsense application reject ho jaye.
About Us page – Me aapko apne bare me Details me likhna hai. Aap kya karte hai, kaha rahte hain, aapki life journey etc etc. Yah page bahut jaruri hota hai. Aapke Visitors aapke bare me jitna janagne utna trust wo aap par karenge.
Privacy Page – Me aap apne visitors ki privacy ki kitni care rakhte hain wo likhna hai. Aap Visitors ke email ka use karte hain ya nahi, cookies use karte hain ya nahi, aap apni site par ads use karte hain ya nahi – yah sab add karna hota hai.
Privacy policy aap Online generate bhi kar sakte hain agar aapko jyada knowledge nahi hai, privacy policy generator par jakar aap yah kar sakte hain.
About & Privacy ADD karne ke liye Blogger me Pages » New Page par click kare. Yaha details type karke Page publish kar de.
Ab in pages ki link ko apni theme me Navigation menu me add kar de.
Step# 6: Blog/Site ka SiteMap Google and Bing Me Submit kare
Website/Blog create karne ke baad aapko apni site ka sitemap Google and Bing me submit karna bahut jaruri hota hai.
Sitemap Submit karne ke baad hi aapki Website Google and Bing ke search results me show karti hai.
Google and Bing me Sitemap kaise Submit karte hain iski Details Maine Apni below post me share ki hain.
- Google me Website/Blog ka Sitemap Kaise Submit kare
- Bing me website/Blog ka Sitemap kaise Submit kare
Step# 7: Start Posting
Apni website ka setup humne complete kar liya hai. Ab hume High Quality Articles post karna hai. Yaha main kuch tips de raha hu jo aap Post karte samay follow kare.
- Apni Post ka Title 70 character se neeche rakhe, Title long nahi hona chahiye.
- Post likhte samay keywords ka use kare. Keywords se hi search result me hamari post show karti hai. Keywords mean aapki post ka topic se related words.
- Keywords ko Highlight kare. keywords ko Bold and Italic me type kare.
- Post ke andar images use kare. Dhyan rahe jyada images use na kre.
- Post ko social sites facebook, twitter,Google+ etc par share jarur kare. Aapfacebook page and Google+ page banakar apni site ko promote kar sakte hain.
Step# 8: 40-50 Post karne ke baad Adsense Ke liye Apply kare
Aapko minimum 40 post jarur karni chahiye, uske baad hi Adsense ke liye Apply kare. 2-3 Post karke Adsense ke liye apply karoge to baat nahi banegi.
Ek aur baat kabhi bhi kisi aur website se copy ki gayi Post apne Blog/site me Publish na kare. Aapko kuch bhi haasil nahi hoga.
Step# 9: Adsense Approve ho jane ke baad Ads Blog me Lagaye
Ok, to aapka Adsense Approve ho gaya. Ab aapko Adsense Account open karna hai aur Ads apne Blog me add karna hai.
Adsense Ads Kaise Create karte hain iski Detailed Post maine publish ki hai See:
Ads create karne ke baad Blogger par aap SideBar, Header, Footer me Ads laga sakte hain. Iske liye Layout » ADD gadget » HTML/javascript me ad code paste kar save kar le.
That’s All.
I Hope aapko yah post pasand aayi hogi. Agar aap har step ko follow karenge to aapko koi bhi problem face nahi karni padegi. Happy Blogging!
Hello Sir Muje Ek Help Chahiye Meri eK Website Hai www.freehindihelp.com
ReplyDeleteUs Me mujhe visiter badhana hai to koi tips ho to batao.Me Blog me naya hu
pls help me. Post ke liye best keywords kaise praprt kare
Check my other posts
Delete