Tuesday 19 July 2016

Facebook Par Video Upload and Promote Kaise Kare

Facebook apne sabse bade competitor Google ki har feature apne single platform par users ko provide karne ki poori kosis kar raha hai. Aap khud dekh sakte hain facebook ne kuch years me kitna improvement kiya hai.
For example Facebook par aap Video upload and share kar sakte hain Like google ke youtube ki tarah. Abhi-Abhi just facebook ne Live Video Streaming feature bhi launch ki hai jo ki YouTube par bhi available hai.
Keval yahi nahi facebook par ab aap earning bhi kar sakte hain. Publishers ke liye yaha bahut new advantages hain. For example Ad campaign, jisme aap apni products ko promote kar sakte hain. Aap affiliate products promote kar paisa kama sakte hain.
facebook video upload


Yaha main aapko Facebook par Video upload kaise karte hain aur Video ko Popular kaise karte hain iski jaankari dunga.
Agar aap Facebook par page manage karte hain to keval post se kaam nahi chalta, aapke page likers ko kuch alag dikhaye. Wo kaam aap video share karke kar sakte hain.
Apne Facebook page par aap apne subject se related Video post kar sakte hain. For example aapka page jokes se related hai to funny videos upload kare. Yakeen maane aapke page ki visits and likes dono improve hogi.

Facebook Par Video Upload kare

Sabse pahle aapko bata du ki yaha main facebook page par video kaise uploadkarte hain uske bare me bata raha hu, aap apni Profile par bhi same method se video upload kar sakte hain.


  • Sabse pahle apna Facebook page open kare.
  • Yaha aap facebook_video_Add Tab dekh sakte hain bus aapko uske upar click karna hai.
  • Ab Next aapko “upload Photos/Video” par click karna hai.
facebook upload video
Ab Next aapko apne PC par se video select karna hai. Video select karne ke baad Video Upload Window open hogi.
Video uploading Process start ho jayegi. Yaha hume kuch video settings karni hogi.
facebook video upload
  1. Video ke liye introduction likhe. Yah introduction aapki kafi interesting hona jaruri hai kyunki sabse pahle users ki nazar isi par pahle padti hai.
  2. Video title me apne video se related Keyword jarur add kare. For example agar aapne funny cats ka video upload kiya hai to Title me “Funny Cats” jarur add kare.
  3. Video ki tags bhi aap apne Video se related hi de.
  4. Add custom Thumbnail me aap video preview ke liye apni custom image upload kar sakte hain. Yaha main suggest karunga ki aap Custom image jarur add kare. Video ka preview agar behtar hoga to users video dekhna jarur chahenge.
  5. Call to Action: Agar aapko apne Video post ke sath Download, Signup, Learn  More, Watch More jaise button add karna hai to is option ka use kare. e-commerce site iska bahut use karti hai.
  6. Video settings me Captions and Advanced me kuch aisa khaas nahi hai. Yah part aap avoid kar sakte hain.
Now click on Publish button. Aap Video Post ko schedule par bhi rakh sakte hain.
Aapka Video facebook page par post ho gaya hai. Ab is video ko Viral karke Popular kaise Banaye, iske liye aapko kuch money spend karni hongi jyada nahi bus Rs.70 for 1 day.

Video Promote Kare

Video ko publish karne ke baad agar aapko Video ko viral karna hai aur view and Likes pana hai to aap Video ko Promote kar sakte hain.
Jaisa ki maine kaha Video ko Promote karne ke liye aapko just Rs.70 for 1 day facebook ko pay karna hoga.
Video ko Promote karne ke liye Published post ke neeche “Boost Post” button par click kare.
boost post facebook
Boost Post me aapko Audience, budget and Duration set karke Payment method add karna hai.
facebook boost post
  • Sabse pahle to Audience me aapko video kis locations ke users ko show karna hai wo set kare.
  • Aap Interest me apne video ki tags add kar sakte hain.
  • Budget and Duration me aap $1 select kare, Duration me 1 day select kare. (Aapke paas budget hai to aap apne according select kare)
  • Paying for your ad me aap Debit card and Paypal select kar sakte hain. Facebook month ke end me charge karta hai.
  • Now Boost par click karke Ad publish kar de.
Ab kuch hi minutes me aapke Video ki Ad Facebook community ko show karne lagegi, aur aapko View and Likes milne lagegi.
[junkie-alert style=”red”] Ek baat ka dhyaan rahe Ad ko Disable karna na bhule. Agar aapne 1 day ke liye Ad promote ki hai, and second day bhi ad run ho rahi hai to aapko extra charge pay karna pad sakta hai. Isliye 1 day complete hone par Ad ko Inactive kar de. [/junkie-alert]
To aapne dekha facebook par kaise aap Video ko upload and popular bana sakte hain. facebook ek bahut badi community hai aur yaha aap video ke jariye apni Knowledge, issues duniya ke sath share kar sakte hain.
Jara sochiye aapke paas koi aisa video hai jise aap poori duniya ko dikhana chahte hain to yaha aap Video facebook par upload karke promote kar sakte hain. Sirf ek din me hi aapko thousands view and likes mil jayenge.

Facebook se Related kuch Aur Topics

No comments:

Post a Comment