Social Sites like facebook, twitter, instagram, youtube, google+ app sabhi use karte honge, Right? Lagbhag poori duniya in social communities se connected hai. Lakho post, images, videos yahan share kiye jate hain. Koi apni feeling share karta hai, koi article, koi daily life etc etc.
Kabhi kabhi in social sites me hame kuch aisi posts mil jati hai jinko hum apni site me show karna chahte hain, like aapko koi facebook post pasand aa gayi hai aur aap apni site par us post ko share karna chahte hain to kaise karenge?
Aaj main aapko yahi batane ja raha hu ki kaise aap In sabhi social sites ki posts ko apni site/Blog me embed (Add) kar sakte hain. So Let’s start:-
Facebook Post apni site me ADD kare
Hmm, to aapko koi post facebook par pasand aa gayi hai aur apni site par add karna chahte hain.
- Facebook post ko apni site me add karne ke liye post ke ∇ down arrow par click kare and options open kare, Yaha aap Embed option dekh sakte hain. Just click on it.
- Click karne ke baad Embed Code show karega wo copy kare.
- Ab is code ko aap WordPress me editor ke Text Mode me and Blogger editor me HTML Mode me Add kar sakte hain.
Twitter Tweet Apni Site Me ADD kare
Twitter par lakho tweets daily ki jati hai. Kuch tweets aisi hoti hain jo motivational and interesting hoti hai, agar aapko wo tweet apni site me add karni hai to aap easily kar sakte hain, See How:-
- Kisi bhi Tweet ke neeche aapko alag-alag icons show karte hai jisme reply, Like, tweet activity ke option hote hain. Yaha More ka icon hota hai bus aapko uske upar click karna hai. More options me aapko Embed Tweet ka option show karenga, click on it.
- Now aapko embed code show karega us code ko copy kare. Yaha include media par check karne par aapki photos bhi show karegi. Uncheck karne par keval tweet show karegi.
- Code copy karke wordpress me text mode and blogger me html mode me paste kar de. That’ s it.
Google+ Post apni Site par ADD kare
Google+ bhi ab kafi popular social platform ban chuka hai. Sabse badi community yaha available hai.
- Google+ par kisi post ko apni site me add karne ke liye aapko just post ke upar mouse le jana hai waha aapko down arrow mark par click karke options open karna hai.
- Options me aapko Embed Post par click karna hai.
- Bus generated code copy karke aapko apni site me Html or text mode me add karna hai.
YouTube Video Apni Site me ADD kare
YouTube video website me add karne ke kai ways hain. Agar aap WordPress user hain to aap plugins se easily videos apni post me add kar sakte hain.
Blogger user ke liye bhi kai options hain post me youtube video publish karne ke liye. Yaha main aapko sabse easy way batata hu jo wordpress and Blogger dono me work karega.
- Jo YouTube video aapko add karna hai wo open kare.
- Video ke under side aapko Share option show karega, uske upar click kare, ab Embed option par click kare. Yaha aapko code copy karke apni site me paste kar dena hai. (see below image)
Instagram Post apni Site Me ADD kare
Instagram- facebook owned photo and video sharing popular social site hai. Lag-bhag sabhi celebrities ka account aap instagram par dekh sakte hain. Instagram ki koi bhi post ko aap easily apni website me add kar sakte hain. See how:-
- Sabse pahle jo photo post aapko apni site me add karna hai wo open kare.
- Yaha aapko post ke sabse neeche … jaisa mark show karega, uske upar click kare. Click karne par pop-up box me Embed par click kare (see below image)
- Bus aapko embed code ko copy karke apni site me HTML or text mode me paste karna hai.
Pinterest post ko apni Site me ADD kare
Pinterest sabse popular photos sharing social network site hai. Yaha daily lakho images upload and share ki jati hain. pinterest par aapko koi Pin (image) pasand aa gayi hai aur aapko apni site me add karna hai to aap kar sakte hain.
- Sabse pahle pinterest ko wo image open kare and yaha aap image ke top par like, pin, send jaise option dekh sakte hain. Yaha aapko … jaisa icon bhi milega. aapko just uske upar click karna hai and Embed option select karna hai (see below image)
- Now new window open hogi, waha sabse neeche aapko Pin ka embed code and script show karegi.
- Script ko bus aapko ekbar apne website me add karna hai tabhi PIN show karegi. Blogger me script aap Layout » Add Gadget » HTML/Javascript me add kar sakte hain. WordPress me aap Appearance » Customize » Widget » select any widget » Add a widget me Text select karke script paste karke save kar le.
- Now aap apni post me embed code paste kar sakte hain.
Conclusion
I hope aapko yah post jarur pasand aayi hogi. Bus kuch isi tarah aap other networking website me same method se koi bhi content apne Blog me add kar sakte hain.
Aisi hi kuch interesting post aap neeche padh sakte hain:-
No comments:
Post a Comment